Tum Bhi Ho, Main Bhi Hoon, Paas Aao To Kah Doon
Aakhir Kyun Pal Mein Yun Deewana Main Ho Gaya
( Tumhein Jo Maine Dekha, Tumhein Jo Maine Jaana )...(2)
Jo Hosh Tha, Wo To Gaya
Badan Ki Khushboo, Jagaae Lagi Jaadu
To Hoke Beqabu, Dil Kho Gaya
Tumhein Jo Maine Socha, Tumhein Jo Maine Maana
Tumhein Jo Maine Dekha, Tumhein Jo Maine Jaana
Jo Hosh Tha, Wo To Gaya..
Itni Kyun Tum Khoobsurat Ho, Ke Sabko Hairat Ho
Duniya Mein Sachmuch Ki Rahti Hai Pariyon Se Bhi Zyada Pyari Si Ladki Koi
Haan Itni Kyun Bolo Hasin Tum Ho, Jo Dekhe Gumsum Ho
Dekho Na Main Bhi Hoon Khoya Sa Bahka Sa Mujhpe Bhi Chhayee Hai Deewangi
Tumhi Ko Maine Pooja, Tumhi Ko Jahaan Maana
Tumhein Jo Maine Dekha, Tumhein Jo Maine Jaana
Jo Hosh Tha, Wo To Gaya
Badan Ki Khushboo...Dil Kho Gaya Tumhein Jo Maine Dekha..Wo To Gaya
Tum Bhi Ho, Main Bhi Hoon, Paas Aao To Kah Doon
Tumne Jo Dekha To Kya Jaane Kya Ho Gaya
Jaane Kyun Rahti Hoon Khoyee Si, Jaagi Na Soyi Si
Ab Dil Mein Armaan Hain Saanson Mein Toofan Hain Aankhon Mein Khwaabon Ki Hai Chaandni
Jaane Kyun Bahka Sa Ye Mann Hai, Mahka Sa Ye Tan Hai
Chalti Hoon Itra Ke Ithla Ke Sharma Ke Balkha Ke Jaise Koi Raagini
Tumhein Jo Maine Samjha...Tumhein Jo Maine Jaana
Jo Hosh Tha, Wo To Gaya
Badan Ki Khushbu...Dil Kho Gaya
Tumhein Jo Maine Dekha, Tumhein Jo Maine Jaana...(4)
No comments:
Post a Comment